Tuesday, 23 April 2013

Fazool Shikwa.. Shayed!

Aik Approach:
Baat barhi saada hai, pata nhe kyun insaan samjhta nahi; kabhi kabhi aik choti si baat maan'ny se inkar ker deta hai aur agla shakhs bechara zaleel ho jata hai sirf itni si baat se. hona tou ye chahiye k bnda doosry ki baat suny aur her waqt doosron ko asoolon ka bojh son'pney se behter hai k kisi ka bojh kam ker diya jaye.

Doosri Approach:
yr j kya zaroorat aisi baaton pe kuRney ki. her bnda jis situation mein hota hai usi trah behave kerta hai. Kya pata wo kin halaat se guzra ho, kin mausamon ne us pe aser daala ho; iss lye wo b sahih he hai.

Monday, 27 August 2012

Wese he...

Zindagi boht ajeeb hy, shaid ajeeb se b ajeeb hy. Insan waqt ki kisi kafiyat se aisa manoos hota hy k phir baad mein aane waly tamam lamhy ajnabiat ki chadar ourhy nazar aaty hain. Lekin shaid tabdeeli hum sab ko boht chahti hy; wo aa kr rehti hy. Lamhe guzer jaane pr kal afsos krne se behter hy aaj he un ko jee liya jaye. Insaan ko sab se zyada apni zaroorat hy, wo agr khud ko mayessur aa jaye phr kisi ki zaroorat nhe rehti. Faasly hamesha kuch faislon k muhtaaj rahe hain, iss liye faisla faasly ki wajah banta hy. aik shair yaad aa raha hy shaid kabhi khud he likha tha,
~Boht kathan hy ye faisla lekin,
  Jo tum ne ker liya hy tou phr yunhi sahi..
zahir hy phr bachta b kiya hy?!